Sunday, September 25, 2011

On "Prince Pankaj's" birthday

Aaj maine ek aisa kaam chuna
Jo Sooraj ko hi torch dikhaa baite
Sooraj ki apaar prajwalata ke saamne
Apna bhi ek chota sa diya jalaa baite

Parantu yeh shubh avsar hi kuch aisa hai ki
Humaare prince apna janamdin manaa rahe hain
Poore duniya aur suryamandal mein
Khushiyaan hi khushiyaan teher rahein hain

Isee khushi mein mai apna khushi bhi prastaav karna chahti hoon
Yeh kavi sooraj maharaj ko mein apna torch kavita dena chahti hoon
Toota foota hindi hi sahi, arth apaarth ki sandhi hi sahi
Jo bhavanaavon ko samjhe usee se sambhaavana lena chaahti hoon

Janamdin ke mubaarak ho Prince Pankaj
Is baar aapke saath hai Rani aur yuvraaj Akshaj
Har saal isee tarah janamdin manaate raho
Aur tumhe wish karne ka opportunity humein praapth karte raho…

No comments:

Post a Comment

Thank you for reading through the blog post. I am thankful for posting your valuable commments and encouragement.